Tag Archives: hindi poems

Saath

Tanhaayi se hum kabhi shikaayat na kartein….. Agar saath unke ,Kuch pal na bitaatein!

Posted in SHAAYRI | Tagged , , , , , , , , | Leave a comment

Yaadein

Kuch lamhein bitaaye the unke saath, Jurm shaayad yahi tha! Ki abb unhi lamhoon se , Milne lagi hai…… yadoon ki saza!

Posted in HINDI POETRY | Tagged , , , , , , , , , , , , , , | 1 Comment

Lafz

Chan lafzoon mein humne, Har ehsaas bayaan kar diya! Aur unhoone padh kar use…… Kisi bekaraar shaayar ka khayaal keh diya!

Posted in SHAAYRI | Tagged , , , , , , | 3 Comments

Lambi raatein….

Bin aapke …. Rattein yun lambi kyun hai ! Aur jo ho aap kareeb humare, Savere ko ubharne ki jaldi kyun hai?!

Posted in SHAAYRI, Uncategorized | Tagged , , , , , , , , , , , , , | Leave a comment

Raina

Raina na kat ti hai unki yaad mein, Savera bhi so gaya hai gehri neend mein… Jagaatein rahe hum us suraj ko … Chaand se vinti kartein rahe dhal jane ko, Taroon se kaha kuch der chup jao , Mushqilein … Continue reading

Posted in HINDI POETRY | Tagged , , , , , , , , , , , , , , , , , , , | 4 Comments

Ehsaas

Jinke khatir ehsaas jagte hai, Woh unko samjhe toh sahi! Likhne se humein aitraaz kaha…. Par kaagaz pe kya likhke samjhaaye, Jin unpadh ko nib chubhta ho!

Posted in Uncategorized | Tagged , , , , , , , , , | Leave a comment

Kasam

Kiase khae unki kasam?! Aur kehdein hum ishq nahi kartein! Aise toh, saansoon se kehna hoga, Ki…… dil humara zinda nahi hai!

Posted in SHAAYRI | Tagged , , , , , , , , , , , , , , , | Leave a comment

Kubool

Door jinse jaana hai….. Kareebiyaan unka hi peecha kyun karein?! Dard jinse milta hai….. Dil unhi se muhobbat ka zidd kyun karein?! Mili bikhri yadein jis rishtein se humein, Dor uske itne mazboot kyun hai?! Bhaagtein hai jis rangeen duniya … Continue reading

Posted in HINDI POETRY | Tagged , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , | Leave a comment

Hosh

Ishq mein koi khudko kya sambhale…. Hosh rehta hi kaha hai insaan ko?! Jab madira usko pilaye!

Posted in SHAAYRI | Tagged , , , , , , , , , , , | 2 Comments

Jannat

Jhilmilatein shehroon mein , Rasta bhatak gaye ! Apni hi thi woh gali , Jane kab woh log anjaan ban gaye ! Kisi mukaam ki talaash mein nikle the hum…. Jane kaisi woh chahat thi…. Apnoon se humein door le … Continue reading

Posted in HINDI POETRY | Tagged , , , , , , , , , , | Leave a comment